EduGrown Question Paper Generator की मदद से आप कुछ ही clicks में अपनी जरूरत के अनुसार custom question paper तैयार कर सकते हैं।
▶ Watch
📖 Read
How to Generate Question Paper?
- Login karein aur Dashboard par "My Question Papers" → + Naya Paper dabayein. (PYQ Bank page par bhi "Generate Question Paper" button hai.)
- Paper ka title likhein — jaise "Class 10 Science — Half Yearly". Phir "Aage badhein".
- Paper details bharein: Class, Subject (search se dhoondhein, ek se zyada bhi chun sakte hain), Board, Medium, school/institute ka naam, exam type, time aur total marks. Paper ki bhasha chunein — English, हिंदी ya दोनों.
- Format chunein. Aapke marks ke hisaab se taiyaar formats milenge — ek dabayein. Ya "Apna format banayein" se section, question type, ginti aur marks khud set karein. Marks limit se zyada hone par laal alert aata hai — pehle use theek karein.
- Instructions apne aap ban jaate hain. Padh lein, chahein to badal dein.
- Questions jodein. Har slot me "+ Questions jodein" dabayein (filter pehle se lage milenge) ya ⚡ Auto-fill se ek click me bharein. Kisi question ka vikalp chahiye to uske neeche "+ OR question".
- "Generate Paper" dabayein. Paper A4 pages me ban jaata hai. Chahein to "✏️ Edit / Design" se heading, font, size, rang, alignment badal kar Save karein.
- Download Word ya PDF — answers ke saath ya bina.